loading...

Saturday, April 25, 2020

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا إِسْحَاق بْنُ مَنْصُورٍ، أَخْبَرَنَا ابْنُ أَبِي مَرْيَمَ، أَخْبَرَنَا يَحْيَى بْنُ أَيُّوبَ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَبِي بَكْرٍ، عَنْ ابْنِ شِهَابٍ، عَنْ سَالِمِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ حَفْصَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ مَنْ لَمْ يُجْمِعِ الصِّيَامَ قَبْلَ الْفَجْرِ فَلَا صِيَامَ لَهُ.

🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जिसने रोज़े की नियत फ़ज्र से पहले नहीं कर ली, उसका रोज़ा नहीं हुआ।"

🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: jisne rozay ki niyat Fajar se pehle nahi kar li, uska roza nahi huwa“.

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”جس نے روزے کی نیت فجر سے پہلے نہیں کر لی، اس کا روزہ نہیں ہوا“۔

🌺The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Whoever did not intend to fast before Fajr then there is no fast for him.”

📜 wazahat: iss hadees se maloom hua ke Roze rakhne se pehle niyat zaroori hai warna ye amal qabil e qubool nahi, baaz log kehte hain ke poore ramzan ke rozon ke liye ek hi niyat kaafi hai aur har roze ke liye alag alag niyat karne ki zaroorat nahi hai lekin ye baat durust nahi hai balke sahih yeh hai ke har roze ki alag alag niyat karni zaruri hai, Nabi kareem ﷺ ne farmaya: roza sirf wahi rakhe jo fajr se pehle iski niyat kar le [📗Nasa'i: 2335].
Har roze ki niyat ka jo waqt hai woh maghrib se lekar fajr tak hai, behtar ye hai ke har aadmi raat ko sone se pehle apne roze ki niyat karle, lekin agar shaam ya raat ko niyat nahi kar saka toh subah sehri ke waqt behar haal niyat kar leni chahiye, Aur niyat ka talluq dil hai jo ke ek qalbi amal hai iska zabaan se ada karna zaruri nahi isliye har momin ko dil se iradah karna chahiye ke woh Allah ki raza ke liye poore ikhlaas se saath kal roza rakhega (Insh'a Allah).

📚 Jame Tirmidhi: jild-2, kitab As sawm 8, hadith no. 730
Grade Sahih

No comments:

rich feel

bidarrichfeelsayeed.blogspot.com