loading...
Sunday, April 19, 2020
rich feel
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃 🌺 حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ فُضَيْلٍ، عَنْ أَبِي نَصْرٍ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، عَنْ مُسَاوِرٍ الْحِمْيَرِيِّ، عَنْ أُمِّهِ، قَالَتْ: سَمِعْتُ أُمَّ سَلَمَةَ، تَقُولُ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، يَقُولُ: أَيُّمَا امْرَأَةٍ مَاتَتْ وَزَوْجُهَا عَنْهَا رَاضٍ دَخَلَتِ الْجَنَّةَ. 🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जो औरत इस हाल में मरे की उसका शौहर उस से राज़ी हो तो वो जन्नत में दाख़िल होगी। 🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”jo aurat is haal mein marey ke uska shohar us se raazi ho to woh jannat mein daakhil hogi.“ 🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”جو عورت اس حال میں مرے کہ اس کا شوہر اس سے راضی ہو تو وہ جنت میں داخل ہو گی ۔“ 🌺The Messenger of Allah ﷺ said: 'Any woman who dies when her husband is pleased with her, will enter Paradise.' ” 📜 wazahat: isliye biwiyon ko chahiye ke shohar ki ita'at wa farmabardari ko Allah aur uske rasool ﷺ ki ita'at samajh kar usme sabqat karen, agar unhon ne ye kaam dil sozi, khuloos aur yaksoi se kar liya to na sirf akhlaqi umoor mein khush gawari paida hogi, aur gharelo zindagi pyar wa mohabbat aur barkat se malamaal hogi, balke ek biwi ke liye apni aaghbat banane aur Allah swt ko khush karne ka bhi yahi zariya hai. Shohar ke muqaam wa martaba bayan karte hue nabi kareem ﷺ ne farmaya: agar main (ﷺ) kisi ko kisi ke liye sajda karne ka hukm deta to main aurat ko hukm deta ke woh apne shohar ko sajda kare [📗Tirmidhi: 1159]. wahi dusri taraf jo aurten apne khawind ko takleef deti hain, pareshan karti hain unke talluk se hadeeson mein ata hai ke jo aurat apne shohar ko duniya mein takleef pohanchati hai to ( jannat ki ) barri aankhon wali hoorron mein se uski biwi kehti hai: tu usay takleef na de. Allah tujhe halaak kare, yeh to waise bhi tere paas bas musafir hai, qareeb hai ke yeh tujhe chhor kar hamare paas aa jaye [📗Tirmidhi: 1174]. isliye har aurton ko chahiye ke wo apne shohar ki khidmat kar unhe raazi kare, unke jayez karar hukm par amal kar ke farmabardar bane. 📚 Sunan ibne majah: jild 3, kitab Al Nikah 9, hadith no. 1854Grade Hasan sahih●•••••••••••••~●x
BIDAR RICH FEEL
🍁سورة الكهف🍁
🔊القارئ إدريس أبكر
⏰36:52
♥نشر التلاوات صدقة جارية.. فأعد نشرها ولا تبخل على نفسك بهذا الأجر العظيم♥
BIDAR RICH FEEL
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌹حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ سَلَامٍ ، قَالَ : أَخْبَرَنَا عَبْدُ الْوَهَّابِ الثَّقَفِيُّ ، قَالَ : حَدَّثَنَا خَالِدٌ الْحَذَّاءُ ، عَنْ أَبِي الْمِنْهَالِ ، عَنْ أَبِي بَرْزَةَ ، أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَكْرَهُ النَّوْمَ قَبْلَ الْعِشَاءِ وَالْحَدِيثَ بَعْدَهَا.
🌺नबी करीम ﷺ इशा से पहले सोने और उसके बाद बातचीत करने को नापसंद फ़रमाते थे।
🌹nabi kareem ﷺ Isha se pehle sonay aur us ke baad baat cheet karne ko napasand farmatay thay.
🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم عشاء سے پہلے سونے اور اس کے بعد بات چیت کرنے کو ناپسند فرماتے تھے۔
🌺Allah's Apostle ﷺ disliked to sleep before the `Isha' prayer and to talk after it.
📜 wazahat: isha se pehle sone ki karahiyat ki wajah ye hai ke isha chhoot jaane ka darr laga rehta hai, aur isha ke baad baat karna isliye naa pasandidah hai ke isse sone mein takheer hoti hai jiski wajah se insaan ke liye tahajjud yaa fajar mein uthna mushkil ho jata hai.
Aur aaj aam taur par dekha jaye der se sona hamari tarz zindagi ka hissa bann chuka hai yaa yun keh le aadat bann chuki hai, ab chahe mobile phone ka istemal ho yaa der raat ki fizool guftgu, ye naa sirf waqt ki barbadi hai balke ye insaan ke chain o sukoon par haawi hone ka sabab banti jaa raha hai.
a
📚 Bukhari sharif: jild 1, kitab mwaqiyat as salah 9, hadith no. 568
Subscribe to:
Posts (Atom)
rich feel
bidarrichfeelsayeed.blogspot.com
-
SHOP https://www.myownshop.in/Shop4591438 https://www.myownshop.in/Shop4591438








