loading...

Sunday, April 19, 2020

BIDAR RICH FEEL

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌹حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ سَلَامٍ ، قَالَ : أَخْبَرَنَا عَبْدُ الْوَهَّابِ الثَّقَفِيُّ ، قَالَ : حَدَّثَنَا خَالِدٌ الْحَذَّاءُ ، عَنْ أَبِي الْمِنْهَالِ ، عَنْ أَبِي بَرْزَةَ ، أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَكْرَهُ النَّوْمَ قَبْلَ الْعِشَاءِ وَالْحَدِيثَ بَعْدَهَا.

🌺नबी करीम ﷺ  इशा से पहले सोने और उसके बाद बातचीत करने को नापसंद फ़रमाते थे।

🌹nabi kareem ﷺ Isha se pehle sonay aur us ke baad baat cheet karne ko napasand farmatay thay.

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم عشاء سے پہلے سونے اور اس کے بعد بات چیت کرنے کو ناپسند فرماتے تھے۔

🌺Allah's Apostle ﷺ disliked to sleep before the `Isha' prayer and to talk after it.

📜 wazahat: isha se pehle sone ki karahiyat ki wajah ye hai ke isha chhoot jaane ka darr laga rehta hai, aur isha ke baad baat karna isliye naa pasandidah hai ke isse sone mein takheer hoti hai jiski wajah se insaan ke liye tahajjud yaa fajar mein uthna mushkil ho jata hai.
Aur aaj aam taur par dekha jaye der se sona hamari tarz zindagi ka hissa bann chuka hai yaa yun keh le aadat bann chuki hai, ab chahe mobile phone ka istemal ho yaa der raat ki fizool guftgu, ye naa sirf waqt ki barbadi hai balke ye insaan ke chain o sukoon par haawi hone ka sabab banti jaa raha hai.
a
📚 Bukhari sharif: jild 1, kitab mwaqiyat as salah 9, hadith no. 568

No comments:

rich feel

bidarrichfeelsayeed.blogspot.com